aaKHiri koshish bhi kar ke dekhte
āḳhirī koshish bhī kar ke dekhte
phir usī dar se guzar ke dekhte
guftugū kā koī to miltā sirā
phir use nārāz kar ke dekhte
kaash juḌ jaatā vo TuuTā aa.ina
ham bhī kuchh din ban sañvar ke dekhte
rah-guzar hī ko Thikānā kar liyā
kab talak ham ḳhvāb ghar ke dekhte
kaash mil jaatā kahīñ sāhil koī
ham bhī kashtī se utar ke dekhte
ho gayā taarī sañvarne kā nasha
varna ḳhvāhish thī bikhar ke dekhte
dard hī gar hāsil-e-hastī hai to
dard kī had se guzar ke dekhte
aaKHiri koshish bhi kar ke dekhte
phir usi dar se guzar ke dekhte
guftugu ka koi to milta sira
phir use naraaz kar ke dekhte
kash juD jata wo TuTa aaina
hum bhi kuchh din ban sanwar ke dekhte
rah-guzar hi ko Thikana kar liya
kab talak hum KHwab ghar ke dekhte
kash mil jata kahin sahil koi
hum bhi kashti se utar ke dekhte
ho gaya tari sanwarne ka nasha
warna KHwahish thi bikhar ke dekhte
dard hi gar hasil-e-hasti hai to
dard ki had se guzar ke dekhte
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 31)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.