aaKHiri lahr kinare pe uchhaal aaya hai
āḳhirī lahr kināre pe uchhāl aayā hai
mere dariyā ko saḳhāvat meñ kamāl aayā hai
ḳhvāb-e-tāza ki jo mansūb tire naam se thā
ab tirī samt se lauTā to niDhāl aayā hai
thak ke gir saktā huuñ ik roz maiñ chalte chalte
dekh kar bikhre hue par ye ḳhayāl aayā hai
ab jo har aañkh tamanna se mujhe dekhtī hai
ek muddat meñ jalā tab ye jamāl aayā hai
mujh ko sahrā kī tarah pyaas milī virse meñ
tere bādal ko kabhī ye bhī ḳhayāl aayā hai
aaKHiri lahr kinare pe uchhaal aaya hai
mere dariya ko saKHawat mein kamal aaya hai
KHwab-e-taza ki jo mansub tere nam se tha
ab teri samt se lauTa to niDhaal aaya hai
thak ke gir sakta hun ek roz main chalte chalte
dekh kar bikhre hue par ye KHayal aaya hai
ab jo har aankh tamanna se mujhe dekhti hai
ek muddat mein jala tab ye jamal aaya hai
mujh ko sahra ki tarah pyas mili wirse mein
tere baadal ko kabhi ye bhi KHayal aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.