aaKHiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai
aaKHiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai
Ahmad Kamal Parwazi
MORE BYAhmad Kamal Parwazi
āḳhirī mā'rka ab shahr-e-dhuāñ-dhār meñ hai
mere sirhāne kā patthar isī dīvār meñ hai
ab hameñ pichhle havāla nahīñ denā paḌte
ik yahī fā.eda bigḌe hue kirdār meñ hai
beshtar log jise 'umr-e-ravāñ kahte haiñ
vo to ik shaam hai aur kūcha-e-dildār meñ hai
ye bhī mumkin hai ki lahja hī salāmat na rahe
majlis-e-shahr bhī ab shahr ke bāzār meñ hai
dil kahāñ apnī riyāsat se alag jaatā hai
vo to ab bhī usī ujḌe hue darbār meñ hai
aaKHiri ma'rka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai
mere sirhane ka patthar isi diwar mein hai
ab hamein pichhle hawala nahin dena paDte
ek yahi faeda bigDe hue kirdar mein hai
beshtar log jise 'umr-e-rawan kahte hain
wo to ek sham hai aur kucha-e-dildar mein hai
ye bhi mumkin hai ki lahja hi salamat na rahe
majlis-e-shahr bhi ab shahr ke bazar mein hai
dil kahan apni riyasat se alag jata hai
wo to ab bhi usi ujDe hue darbar mein hai
- Book : Chaa.ndii kaa varaq (Pg. 25)
- Author : Ahmad Kamal Parvaazii
- Publication : Surkhawab Publications Ujjain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.