aaKHiri manzar ajab aankhon mein hai
āḳhirī manzar ajab āñkhoñ meñ hai
jaise sadiyoñ kā safar lamhoñ meñ hai
lamha lamha sāz-e-dil ḳhāmosh sā
ik sadā bas gūñjtī kānoñ meñ hai
zindagī uljhā huā ik silsila
phāñs ik chubhtī huī sāñsoñ meñ hai
rabt-e-jāñ kā jism se TuuTā huā
chhūTtā dāman tirā hāthoñ meñ hai
kuchh fasāne yaad kuchh bhūle hue
ḳhvāb sī ik shakl bhī āñkhoñ meñ hai
aaKHiri manzar ajab aankhon mein hai
jaise sadiyon ka safar lamhon mein hai
lamha lamha saz-e-dil KHamosh sa
ek sada bas gunjti kanon mein hai
zindagi uljha hua ek silsila
phans ek chubhti hui sanson mein hai
rabt-e-jaan ka jism se TuTa hua
chhuTta daman tera hathon mein hai
kuchh fasane yaad kuchh bhule hue
KHwab si ek shakl bhi aankhon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.