aaKHiri sanson talak laDti rahi
āḳhirī sāñsoñ talak laḌtī rahī
zindagī ummīd huuñ kahtī rahī
chand jumloñ meñ kahī sab ke liye
vo kahānī umr-bhar chaltī rahī
jaane kyā hai baat par manzil mujhe
rahguzar chhū kar tirī miltī rahī
yaad to aayā na ho aisā nahīñ
diid kī ḳhvāhish magar miTtī rahī
laakh ghaav ko chhupāyā thā magar
zaḳhm dhakne kī ridā phaTtī rahī
aaKHiri sanson talak laDti rahi
zindagi ummid hun kahti rahi
chand jumlon mein kahi sab ke liye
wo kahani umr-bhar chalti rahi
jaane kya hai baat par manzil mujhe
rahguzar chhu kar teri milti rahi
yaad to aaya na ho aisa nahin
did ki KHwahish magar miTti rahi
lakh ghaw ko chhupaya tha magar
zaKHm dhakne ki rida phaTti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.