aaKHiri war kar raha hun main
āḳhirī vaar kar rahā huuñ maiñ
apnā inkār kar rahā huuñ meñ
aaḌ apne hī jism kī le kar
ruuh ko taar kar rahā huuñ maiñ
apne dukh baañT kar zamāne meñ
kitnā īsār kar rahā huuñ maiñ
hai mohabbat bhī kār-e-fan ki jise
dil se har baar kar rahā huuñ maiñ
kis mahārat se is Darāme meñ
apnā kirdār kar rahā huuñ maiñ
tiir khāne se us ke is fan meñ
us ko fankār kar rahā huuñ maiñ
kuchh to bīmār hai vo pahle se
aur bīmār kar rahā huuñ maiñ
dost ahbāb kyoñ ḳhajil haiñ aaj
zikr-e-aġhyār kar rahā huuñ maiñ
maiñ agar jā chukā to phir kis se
ab bhī takrār kar rahā huuñ maiñ
apnī nākāmī kī duā kar ke
marzī shab kar rahā huuñ maiñ
ḳhud hī ta.amīr kar ke but apnā
ḳhud hī mismār kar rahā huuñ maiñ
ik na ik shai har umr meñ ab bhī
be-sarokār kar rahā huuñ maiñ
koī to mujh se haar kar jiite
sab se hī haar kar rahā huuñ maiñ
jaane kis ahd ke liye 'rāshid'
us ko tayyār kar rahā huuñ maiñ
aaKHiri war kar raha hun main
apna inkar kar raha hun mein
aaD apne hi jism ki le kar
ruh ko tar kar raha hun main
apne dukh banT kar zamane mein
kitna isar kar raha hun main
hai mohabbat bhi kar-e-fan ki jise
dil se har bar kar raha hun main
kis mahaarat se is Darame mein
apna kirdar kar raha hun main
tir khane se us ke is fan mein
us ko fankar kar raha hun main
kuchh to bimar hai wo pahle se
aur bimar kar raha hun main
dost ahbab kyon KHajil hain aaj
zikr-e-aghyar kar raha hun main
main agar ja chuka to phir kis se
ab bhi takrar kar raha hun main
apni nakaami ki dua kar ke
marzi shab kar raha hun main
KHud hi tamir kar ke but apna
KHud hi mismar kar raha hun main
ek na ek shai har umr mein ab bhi
be-sarokar kar raha hun main
koi to mujh se haar kar jite
sab se hi haar kar raha hun main
jaane kis ahd ke liye 'rashid'
us ko tayyar kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.