aaKHiri zarb dil par lagate hue
āḳhirī zarb dil par lagāte hue
kaun ruḳhsat huā muskurāte hue
un kī dahlīz tak ham ga.e to magar
dastakeñ rāstoñ meñ luTāte hue
kah ga.ī thī sabā ye mire kaan meñ
phir idhar ā.ūñgī āte-jāte hue
dil lagāne ko saarā jahāñ thā magar
sochtā kaun hai dil lagāte hue
zindagī kī tavālat kā 'uqda khulā
ret par ik gharauñdā banāte hue
kuchh sitāre the raushan jabīñ par mirī
tum ne dekhā nahīñ jhilmilāte hue
kitne rishtoñ kā maiñ ne bharam rakh liyā
ik ta'alluq se dāman chhuḌāte hue
kitne hī raaz sab par 'ayāñ ho ga.e
ik tirā rāz-e-ulfat chhupāte hue
yuuñ guzartā rahā kārvān-e-hayāt
ḳhud se apnā ta'āruf karāte hue
aaKHiri zarb dil par lagate hue
kaun ruKHsat hua muskuraate hue
un ki dahliz tak hum gae to magar
dastaken raston mein luTate hue
kah gai thi saba ye mere kan mein
phir idhar aaungi aate-jate hue
dil lagane ko sara jahan tha magar
sochta kaun hai dil lagate hue
zindagi ki tawalat ka 'uqda khula
ret par ek gharaunda banate hue
kuchh sitare the raushan jabin par meri
tum ne dekha nahin jhilmilate hue
kitne rishton ka main ne bharam rakh liya
ek ta'alluq se daman chhuDate hue
kitne hi raaz sab par 'ayan ho gae
ek tera raaz-e-ulfat chhupate hue
yun guzarta raha karwan-e-hayat
KHud se apna ta'aruf karaate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.