aalam-e-rozgar se marub ho gae
ālām-e-rozgār se mar'ūb ho ga.e
saare usuul 'ishq ke mā’yūb ho ga.e
shāyad maiñ apne aap se ġhāfil na rah sakā
kuchh log merī zaat se mansūb ho ga.e
pahle-pahal to ham pe tirā kuchh asar huā
phir dekhte hī dekhte maġhlūb ho ga.e
pohñchā na kuchh hamārā kahā un ke zauq tak
samjhe the ham ki sāhib-e-uslūb ho ga.e
shohrat kī sādgī ne bhī kyā kyā na kuchh kiyā
kitne hī badtarīn the jo ḳhuub ho ga.e
terā firāq bā'is-e-kaif-o-nashāt thā
duniyā tire visāl meñ majzūb ho ga.e
'ahmar' kā kyā banā koī pūchhe to ye kaho
nazr-e-sitam-zarīfī-e-mahbūb ho ga.e
aalam-e-rozgar se mar'ub ho gae
sare usul 'ishq ke ma’yub ho gae
shayad main apne aap se ghafil na rah saka
kuchh log meri zat se mansub ho gae
pahle-pahal to hum pe tera kuchh asar hua
phir dekhte hi dekhte maghlub ho gae
pohncha na kuchh hamara kaha un ke zauq tak
samjhe the hum ki sahib-e-uslub ho gae
shohrat ki sadgi ne bhi kya kya na kuchh kiya
kitne hi badtarin the jo KHub ho gae
tera firaq ba'is-e-kaif-o-nashat tha
duniya tere visal mein majzub ho gae
'ahmar' ka kya bana koi puchhe to ye kaho
nazr-e-sitam-zarifi-e-mahbub ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.