aalam-o-ranj-o-gham ki tabhi lab-kushai thi
aalam-o-ranj-o-gham ki tabhi lab-kushai thi
Syed John Abbas Kazmi
MORE BYSyed John Abbas Kazmi
ālām-o-ranj-o-ġham kī tabhī lab-kushā.ī thī
jab sāhiloñ pe ashkoñ ne bastī basā.ī thī
dariyā chamak rahā thā sitāroñ ke zor par
ik raat kahkashāñ ne kahānī sunā.ī thī
dil meñ yaqīn hai ki ye be daaġh kā.enāt
is ittifāq ne nahīñ rab ne banā.ī thī
kis ne udāsiyoñ se ye shāmeñ nikālī haiñ
kis ne ḳhamoshiyoñ se ye vaadī sajā.ī thī
tannāzī-e-jamāl thā vo tumtarāq-e-husn
chehre pe ḳhaak ishq kī jalva-numā.ī thī
mujh ko gumāñ huā thā dhuāñ dekh kar vahāñ
us tāqche meñ sirf diye kī dahā.ī thī
maiñ us ke sāmne se guzar ke gayā to 'john'
nazreñ nahīñ milīñ thiiñ faqat ham-navā.ī thī
aalam-o-ranj-o-gham ki tabhi lab-kushai thi
jab sahilon pe ashkon ne basti basai thi
dariya chamak raha tha sitaron ke zor par
ek raat kahkashan ne kahani sunai thi
dil mein yaqin hai ki ye be dagh kaenat
is ittifaq ne nahin rab ne banai thi
kis ne udasiyon se ye shamen nikali hain
kis ne KHamoshiyon se ye wadi sajai thi
tannazi-e-jamal tha wo tumtaraq-e-husn
chehre pe KHak ishq ki jalwa-numai thi
mujh ko guman hua tha dhuan dekh kar wahan
us taqche mein sirf diye ki dahai thi
main us ke samne se guzar ke gaya to 'john'
nazren nahin milin thin faqat ham-nawai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.