aalam-e-be-chehragi mein kaun kis ka aashna
ālam-e-be-chehragī meñ kaun kis kā āshnā
aaj kā har lafz hai mafhūm se nā-āshnā
kaun hotā hai zamāne meñ kisī kā āshnā
log honā chāhte haiñ ḳhud zamāna-āshnā
sochtā huuñ kaun sī manzil hai ye idrāk kī
zarra zarra āshnā hai pattā pattā āshnā
chaaT jaatī hai jinheñ sūraj kī pyāsī raushnī
kaash ho jaa.eñ kisī din vo bhī dariyā-āshnā
tishnagī aa.ī sarāboñ se guzar kar aab tak
sāhil-e-dariyā magar ab tak hai sahrā-āshnā
zauq-e-ḳhud-bīnī kī taskīn-e-anā ke vāste
kitne hī nā-āshnāoñ ko banāyā āshnā
kaash ho jaa.e tirī āñkhoñ pe ḳhvāboñ kā nuzūl
kaash ho jaa.e tirā dil bhī tamannā-āshnā
kaun pahchānegā ham ko kaun pūchhegā mizāj
kaun hai apne sivā 'qaisar' hamārā āshnā
aalam-e-be-chehragi mein kaun kis ka aashna
aaj ka har lafz hai mafhum se na-ashna
kaun hota hai zamane mein kisi ka aashna
log hona chahte hain KHud zamana-ashna
sochta hun kaun si manzil hai ye idrak ki
zarra zarra aashna hai patta patta aashna
chaT jati hai jinhen suraj ki pyasi raushni
kash ho jaen kisi din wo bhi dariya-ashna
tishnagi aai sarabon se guzar kar aab tak
sahil-e-dariya magar ab tak hai sahra-ashna
zauq-e-KHud-bini ki taskin-e-ana ke waste
kitne hi na-ashnaon ko banaya aashna
kash ho jae teri aankhon pe KHwabon ka nuzul
kash ho jae tera dil bhi tamanna-ashna
kaun pahchanega hum ko kaun puchhega mizaj
kaun hai apne siwa 'qaisar' hamara aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.