‘alam-e-hosh apna bikharta raha
‘ālam-e-hosh apnā bikhartā rahā
un kī aamad kā sadqa utartā rahā
manzileñ ḳhvāb meñ ham pe raushan huiiñ
kārvāñ zulmatoñ se guzartā rahā
chāñd bādal se aTkheliyoñ meñ thā gum
koī dil baam par aah bhartā rahā
yuuñ to duniyā ne puḳhta kiyā intizām
maiñ hī marne se nāhaq mukartā rahā
vo miTātā rahā mere nām-o-nishāñ
aur apne hī saa.e se Dartā rahā
sar meñ 'bebāk' saudā rahā jab talak
dard rah rah ke dil meñ ubhartā rahā
‘alam-e-hosh apna bikharta raha
un ki aamad ka sadqa utarta raha
manzilen KHwab mein hum pe raushan huin
karwan zulmaton se guzarta raha
chand baadal se aTkheliyon mein tha gum
koi dil baam par aah bharta raha
yun to duniya ne puKHta kiya intizam
main hi marne se nahaq mukarta raha
wo miTata raha mere nam-o-nishan
aur apne hi sae se Darta raha
sar mein 'bebak' sauda raha jab talak
dard rah rah ke dil mein ubharta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.