aalam-e-KHwab bahar-haal sajae rakhiye
ālam-e-ḳhvāb bahar-hāl sajā.e rakhiye
gardaneñ jaa.eñ magar sar ko bachā.e rakhiye
koī tūfān sar-e-rāh uThā.e rakhiye
silsila ham se na milne kā banā.e rakhiye
koī mausam ho bahāroñ se banā.e rakhiye
ḳhushk pattoñ pe koī rang chaḌhā.e rakhiye
is siyah raat meñ ik sabz parī utregī
ḳhvāb-e-tiflī ko bahar-hāl jagā.e rakhiye
pyaas jismoñ kī bujhā kartī hai yuuñ bhī aksar
ek tasvīr sirhāne meñ lagā.e rakhiye
vaqt jaane ki ḳhudā pahle bhī thā koī yahāñ
naqsh patthar pe farishtoñ ke banā.e rakhiye
lafz ke paas na bhaTkeñ ye haiñ behis patthar
dard-e-ehsās ke shīshe ko bachā.e rakhiye
taaki vīrānī idhar aa.e to māyūs na ho
apne darvāzoñ ko phūloñ se sajā.e rakhiye
aaj kī raat 'nazar' zaḳhm mire chamkeñge
aaj kī raat charāġhoñ ko bujhā.e rakhiye
aalam-e-KHwab bahar-haal sajae rakhiye
gardanen jaen magar sar ko bachae rakhiye
koi tufan sar-e-rah uThae rakhiye
silsila hum se na milne ka banae rakhiye
koi mausam ho bahaaron se banae rakhiye
KHushk patton pe koi rang chaDhae rakhiye
is siyah raat mein ek sabz pari utregi
KHwab-e-tifli ko bahar-haal jagae rakhiye
pyas jismon ki bujha karti hai yun bhi aksar
ek taswir sirhane mein lagae rakhiye
waqt jaane ki KHuda pahle bhi tha koi yahan
naqsh patthar pe farishton ke banae rakhiye
lafz ke pas na bhaTken ye hain behis patthar
dard-e-ehsas ke shishe ko bachae rakhiye
taki virani idhar aae to mayus na ho
apne darwazon ko phulon se sajae rakhiye
aaj ki raat 'nazar' zaKHm mere chamkenge
aaj ki raat charaghon ko bujhae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.