aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar
ālam-e-rañg-o-naġhma meñ kaif bahut sahī magar
be-ḳhud-e-sair-e-kā.enāt apnī taraf bhī ik nazar
un kī bhī aañkh ho ga.ī josh-e-alam se aaj tar
maiñ ne uThā.ī kyoñ nigāh ālam-e-dard meñ udhar
yuuñ na pahuñch sakegā tū un kī harīm-e-nāz meñ
ishq kī teġh-e-tez se aql se pahle jang kar
shakl-e-hasīñ dikhā.e jā parda-e-darmiyāñ uThā
shauq mirā hai pārsā ishq mirā hai mo'atabar
mere tamīz-e-shauq ko ek zamāna chāhiye
terā lahū abhī hai sard merī navā hai garm-tar
āh-e-sharāb-e-shauq kā kaif bahut ajiib hai
vo haiñ ki mujh se be-niyāz aur maiñ un se be-ḳhabar
terī fuġhāñ ne kar diyā sīna-e-gul ko chāk-chāk
'aḳhtar'-e-ḳhush-navā ḳhamosh 'aḳhtar'-e-ḳhush-navā Thahar
aalam-e-rang-o-naghma mein kaif bahut sahi magar
be-KHud-e-sair-e-kaenat apni taraf bhi ek nazar
un ki bhi aankh ho gai josh-e-alam se aaj tar
main ne uThai kyon nigah aalam-e-dard mein udhar
yun na pahunch sakega tu un ki harim-e-naz mein
ishq ki tegh-e-tez se aql se pahle jang kar
shakl-e-hasin dikhae ja parda-e-darmiyan uTha
shauq mera hai parsa ishq mera hai mo'atabar
mere tamiz-e-shauq ko ek zamana chahiye
tera lahu abhi hai sard meri nawa hai garm-tar
aah-e-sharab-e-shauq ka kaif bahut ajib hai
wo hain ki mujh se be-niyaz aur main un se be-KHabar
teri fughan ne kar diya sina-e-gul ko chaak-chaak
'aKHtar'-e-KHush-nawa KHamosh 'aKHtar'-e-KHush-nawa Thahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.