aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo
ālam-e-soz-e-tamannā be-karāñ karte chalo
zarre zarre ko sharīk-e-kārvāñ karte chalo
kitne raushan haiñ vo 'āriz kitne shīrīñ haiñ vo lab
rāsta kaT jā.egā zikr-e-butāñ karte chalo
shām-e-ġham kī zulmateñ haiñ aur sahrā-e-hayāt
dīda-e-bedār ko anjum-fishāñ karte chalo
rāste meñ bujh na jaa.eñ ārzūoñ ke charāġh
zikr-e-manzil kārvāñ-dar-kārvāñ karte chalo
jaane kis 'ālam meñ aa.eñ aane vaale qāfile
sāya-e-dīvār-e-jānāñ jāvedāñ karte chalo
mazhar-e-tahzīb hai ik ek tār-e-pairahan
bas yūñhī andāza-e-sūd-o-ziyāñ karte chalo
aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo
zarre zarre ko sharik-e-karwan karte chalo
kitne raushan hain wo 'ariz kitne shirin hain wo lab
rasta kaT jaega zikr-e-butan karte chalo
sham-e-gham ki zulmaten hain aur sahra-e-hayat
dida-e-bedar ko anjum-fishan karte chalo
raste mein bujh na jaen aarzuon ke charagh
zikr-e-manzil karwan-dar-karwan karte chalo
jaane kis 'alam mein aaen aane wale qafile
saya-e-diwar-e-jaanan jawedan karte chalo
mazhar-e-tahzib hai ek ek tar-e-pairahan
bas yunhi andaza-e-sud-o-ziyan karte chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.