aalam-e-yas mein ghabrae na insan bahut
ālam-e-yās meñ ghabrā.e na insān bahut
dil salāmat hai to hasrat bahut armān bahut
kaash do chaar hazāroñ meñ to hoñ kāfir-e-ishq
ham ne ka.abe meñ bhī dekhe na musalmān bahut
sar uThātā nahīñ tū sharm-e-jafā se zālim
yā kiye haiñ kisī kam-baḳht ne ehsān bahut
tum ki bedād karo aur na sharmāo zarā
ham ki nā-karda-gunah aur pashemān bahut
hasrateñ roz na.ī dil meñ bharī jaatī haiñ
thoḌe thoḌe bhī hue jaate haiñ mehmān bahut
sochiye dil meñ to hai ishq nihāyat dushvār
na samajhiye to yahī kaam hai āsān bahut
bazm-e-ahbāb meñ ai 'dāġh' kabhī to hañs bol
dekhte haiñ tujhe har vaqt pareshān bahut
aalam-e-yas mein ghabrae na insan bahut
dil salamat hai to hasrat bahut arman bahut
kash do chaar hazaron mein to hon kafir-e-ishq
hum ne kabe mein bhi dekhe na musalman bahut
sar uThata nahin tu sharm-e-jafa se zalim
ya kiye hain kisi kam-baKHt ne ehsan bahut
tum ki bedad karo aur na sharmao zara
hum ki na-karda-gunah aur pasheman bahut
hasraten roz nai dil mein bhari jati hain
thoDe thoDe bhi hue jate hain mehman bahut
sochiye dil mein to hai ishq nihayat dushwar
na samajhiye to yahi kaam hai aasan bahut
bazm-e-ahbab mein ai 'dagh' kabhi to hans bol
dekhte hain tujhe har waqt pareshan bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.