aalam-e-zat mein jhanko koi kab achchha hai
ālam-e-zāt meñ jhāñko koī kab achchhā hai
dekhne vaale samajhte haiñ ki sab achchhā hai
rone lagtā huuñ to aate haiñ dilāse dene
sher paḌhtā huuñ to kahte haiñ ajab achchhā hai
jāntā huuñ tū kisī aur se mil kar ḳhush hai
chal tire pyaar meñ marne kā sabab achchhā hai
jab faqīroñ kī bhī kirdār-kushī kī tū ne
kaise mānegā koī terā nasab achchhā hai
haal pūchhā thā kisī ne tire dīdār ke ba.ad
baa.eñ pahlū ko dabāyā kahā ab achchhā hai
āḳhirī baar milā baiThā rahā saarī raat
jaane vaale kī ināyāt kā Dhab achchhā hai
tū vo dīpak hai ki shaidā.ī hazāroñ jis ke
mujh se be-yār-o-madadgār kā rab achchhā hai
aalam-e-zat mein jhanko koi kab achchha hai
dekhne wale samajhte hain ki sab achchha hai
rone lagta hun to aate hain dilase dene
sher paDhta hun to kahte hain ajab achchha hai
jaanta hun tu kisi aur se mil kar KHush hai
chal tere pyar mein marne ka sabab achchha hai
jab faqiron ki bhi kirdar-kushi ki tu ne
kaise manega koi tera nasab achchha hai
haal puchha tha kisi ne tere didar ke baad
baen pahlu ko dabaya kaha ab achchha hai
aaKHiri bar mila baiTha raha sari raat
jaane wale ki inayat ka Dhab achchha hai
tu wo dipak hai ki shaidai hazaron jis ke
mujh se be-yar-o-madadgar ka rab achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.