aalam ho qahr ka to labon par dua na ho
aalam ho qahr kā to laboñ par duā na ho
is ḳhāmushī pe maiñ bhī ye dekhūñ ki kyā na ho
ab to hamāre ahd meñ fir.auniyat ke beach
muusā vahī hai haath meñ jis ke asā na ho
bante haiñ zābte yahāñ hoñToñ pe qufl ke
patthar ye chāhte haiñ koī be-sadā na ho
aisā na ho ki ḳhvāb bhī jhaḌ jaa.eñ niiñd se
mausam yahāñ ho sard pa itnā ḳhafā na ho
ghabrā ke sab ujāloñ se kahne lage 'naved'
ham tīrgī meñ jaa.eñ to ik bhī diyā na ho
aalam ho qahr ka to labon par dua na ho
is KHamushi pe main bhi ye dekhun ki kya na ho
ab to hamare ahd mein firauniyat ke beach
musa wahi hai hath mein jis ke asa na ho
bante hain zabte yahan honTon pe qufl ke
patthar ye chahte hain koi be-sada na ho
aisa na ho ki KHwab bhi jhaD jaen nind se
mausam yahan ho sard pa itna KHafa na ho
ghabra ke sab ujalon se kahne lage 'nawed'
hum tirgi mein jaen to ek bhi diya na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.