aalam ki mushkilat ko aasan banaiye
aalam kī mushkilāt ko āsāñ banā.iye
ab dard-e-dil ko māya-e-īmāñ banā.iye
yā kījiye na shikva-e-be-lutfī-e-ḳhalish
yā dil ke laḳht laḳht ko paikāñ banā.iye
yā ārzū-e-lutf-o-karam tark kījiye
yā hāl-e-dard qābil-e-darmāñ banā.iye
yā muñh na moḌiye kabhī ālām-e-dahr se
yā zindagī ko be-sar-o-sāmāñ banā.iye
aane hī ko hai manzil-e-maqsūd kī ḳhabar
shīrāza-e-hayāt pareshāñ banā.iye
āsāniyoñ ko mojib-e-āfāt jāniye
dushvāriyoñ ko vaj.h-e-sad-imakāñ banā.iye
jalvoñ ko qaid-e-rasm se āzād kījiye
aalam ko har nigāh meñ hairāñ banā.iye
taklīf kījiye kabhī 'hirmāñ' ke haal par
ik be-navā ko banda-e-ehsāñ banā.iye
aalam ki mushkilat ko aasan banaiye
ab dard-e-dil ko maya-e-iman banaiye
ya kijiye na shikwa-e-be-lutfi-e-KHalish
ya dil ke laKHt laKHt ko paikan banaiye
ya aarzu-e-lutf-o-karam tark kijiye
ya haal-e-dard qabil-e-darman banaiye
ya munh na moDiye kabhi aalam-e-dahr se
ya zindagi ko be-sar-o-saman banaiye
aane hi ko hai manzil-e-maqsud ki KHabar
shiraaza-e-hayat pareshan banaiye
aasaniyon ko mojib-e-afat jaaniye
dushwariyon ko wajh-e-sad-imakan banaiye
jalwon ko qaid-e-rasm se aazad kijiye
aalam ko har nigah mein hairan banaiye
taklif kijiye kabhi 'hirman' ke haal par
ek be-nawa ko banda-e-ehsan banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.