aalam ko usne naqsh-e-kaf-e-pa bana diya
aalam ko us ne naqsh-e-kaf-e-pā banā diyā
ya.anī banā diyā kabhī gaahe miTā diyā
hotī na tāb-e-jalva-e-pinhāñ kalīm ko
kyoñ tū ne parda-e-ruḳh-e-zebā uThā diyā
pūchhā jo us se hastī-e-ālam ke raaz ko
zālim ne apnā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā diyā
ham ibtidā-e-soz-e-mohabbat meñ jal bujhe
vo sham.a haiñ ki shaam se mujh ko bujhā diyā
goyā ki ham bhī naqsh-e-tamannā-e-ġhair the
banñe na paa.e the ki kisī ne miTā diyā
aalam ko us ne naqsh-e-kaf-e-pa bana diya
yani bana diya kabhi gahe miTa diya
hoti na tab-e-jalwa-e-pinhan kalim ko
kyon tu ne parda-e-ruKH-e-zeba uTha diya
puchha jo us se hasti-e-alam ke raaz ko
zalim ne apna naqsh-e-kaf-e-pa dikha diya
hum ibtida-e-soz-e-mohabbat mein jal bujhe
wo shama hain ki sham se mujh ko bujha diya
goya ki hum bhi naqsh-e-tamanna-e-ghair the
banne na pae the ki kisi ne miTa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.