aalam mein hare honge ashjar jo main roya
aalam meñ hare hoñge ashjār jo maiñ royā
gulchīñ nahīñ sīñcheñge gulzār jo maiñ royā
barsegā jo abr aa kar khul jā.egā dam bhar meñ
aañsū nahīñ thamne ke ai yaar jo maiñ royā
ro.o.ge jharoke meñ tum hichkiyāñ le le kar
ai yaar kabhī zer-e-dīvār jo maiñ royā
zaḳhmī huuñ to hone do kyuuñ yaar bisorūñ maiñ
kyā baat rahī khā kar talvār jo maiñ royā
huuñ musta.id-e-riqqat farhād mujhe bahlā
le Dūbeñge tujh ko bhī kohsār jo maiñ royā
majnūñ ne kahā jaao vahshat unheñ dikhlāo
baiThā huā sahrā meñ be-kār jo maiñ royā
rahm aa hī gayā un ko kaTvā de mirī beḌī
zindān meñ chillā kar ik baar jo maiñ royā
kī ġhusse ke maare phir us ne na nigah sīdhī
in añkhḌiyoñ kā ho kar bīmār jo maiñ royā
betābī o zaarī par merī unheñ rahm aayā
dikhlā hī diyā mujh ko dīdār jo maiñ royā
ārām vo karte haiñ rulvā na mujhe ai dil
Thahreñge na vo ho kar bedār jo maiñ royā
aa.e the ba-mushkil vo laa.e the 'sharaf' un ko
phir uTh ga.e vo ho kar bedār jo maiñ royā
aalam mein hare honge ashjar jo main roya
gulchin nahin sinchenge gulzar jo main roya
barsega jo abr aa kar khul jaega dam bhar mein
aansu nahin thamne ke ai yar jo main roya
rooge jharoke mein tum hichkiyan le le kar
ai yar kabhi zer-e-diwar jo main roya
zaKHmi hun to hone do kyun yar bisorun main
kya baat rahi kha kar talwar jo main roya
hun mustaid-e-riqqat farhad mujhe bahla
le Dubenge tujh ko bhi kohsar jo main roya
majnun ne kaha jao wahshat unhen dikhlao
baiTha hua sahra mein be-kar jo main roya
rahm aa hi gaya un ko kaTwa de meri beDi
zindan mein chilla kar ek bar jo main roya
ki ghusse ke mare phir us ne na nigah sidhi
in ankhDiyon ka ho kar bimar jo main roya
betabi o zari par meri unhen rahm aaya
dikhla hi diya mujh ko didar jo main roya
aaram wo karte hain rulwa na mujhe ai dil
Thahrenge na wo ho kar bedar jo main roya
aae the ba-mushkil wo lae the 'sharaf' un ko
phir uTh gae wo ho kar bedar jo main roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.