aam mauqon pe na aankhon mein ubhaare aansu
aam mauqoñ pe na āñkhoñ meñ ubhāre aañsū
hijr jis se bhī ho par tujh pe hī vaare aañsū
zabt kā hai jo hunar maiñ ne diyā hai tum ko
merī āñkhoñ se nikalte haiñ tumhāre aañsū
kyoñ na ab hijr ko maiñ ibtidā-e- vasl kahūñ
aañkh se maiñ ne qabā jaise utāre aañsū
dūsre ishq kī sūrat nahīñ dekhī jaatī
dhundhle kar dete haiñ āñkhoñ ke nazāre aañsū
aañkh kī jhiil sukhātī hai tirī shab kī dhuup
marne lagte haiñ vahāñ pyaas ke maare aañsū
bin tere āñkhoñ ko sahrā na banā baiThūñ maiñ
rote rote na gañvā duuñ kahīñ saare aañsū
mujh farebī ko jo tū ne ye mohabbat dī hai
aañkh se girte haiñ ab sharm ke maare aañsū
raat hotī hai to uThtī haiñ ziyāda lahreñ
aur aa jaate haiñ palkoñ ke kināre aañsū
aam mauqon pe na aankhon mein ubhaare aansu
hijr jis se bhi ho par tujh pe hi ware aansu
zabt ka hai jo hunar main ne diya hai tum ko
meri aankhon se nikalte hain tumhaare aansu
kyon na ab hijr ko main ibtida-e- wasl kahun
aankh se main ne qaba jaise utare aansu
dusre ishq ki surat nahin dekhi jati
dhundhle kar dete hain aankhon ke nazare aansu
aankh ki jhil sukhati hai teri shab ki dhup
marne lagte hain wahan pyas ke mare aansu
bin tere aankhon ko sahra na bana baiThun main
rote rote na ganwa dun kahin sare aansu
mujh farebi ko jo tu ne ye mohabbat di hai
aankh se girte hain ab sharm ke mare aansu
raat hoti hai to uThti hain ziyaada lahren
aur aa jate hain palkon ke kinare aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.