aam sa ek shaKHs hai ye farhat-ehsas aap ka
'aam sā ik shaḳhs hai ye 'farhat-ehsās' aap kā
'ishq ne is ko banāyā hai magar ḳhaas aap kā
aap tanhā.ī meñ kab milte haiñ kuchh to boliye
ḳhatm kab hotā hai ā.īne meñ ijlās aap kā
aur kitnā paas aa.uuñ maiñ ki paas aa jaa.eñ aap
kuchh to kahiye aur kitnī duur hai paas aap kā
sāhibā ham ko gale se bhī lagā liije kabhī
kab talak qadmoñ meñ hī baiThā rahe daas aap kā
gosht mere jism kā tārīk ho jaatā hai kyoñ
shaam aate hī damak uThtā hai kyoñ maas aap kā
vo jo haiñ ik jauharī se ‘farhat-ullāh-ḳhān’ haiñ
ye lafangā jo hai ye hai ‘farhat-ehsās' aap kā
'am sa ek shaKHs hai ye 'farhat-ehsas' aap ka
'ishq ne is ko banaya hai magar KHas aap ka
aap tanhai mein kab milte hain kuchh to boliye
KHatm kab hota hai aaine mein ijlas aap ka
aur kitna pas aaun main ki pas aa jaen aap
kuchh to kahiye aur kitni dur hai pas aap ka
sahiba hum ko gale se bhi laga lije kabhi
kab talak qadmon mein hi baiTha rahe das aap ka
gosht mere jism ka tarik ho jata hai kyon
sham aate hi damak uThta hai kyon mas aap ka
wo jo hain ek jauhari se ‘farhat-ullah-KHan’ hain
ye lafanga jo hai ye hai ‘farhat-ehsas' aap ka
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 27)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.