aamaj-gah-e-tir-e-sitam kaun hum ki aap
āmāj-gāh-e-tīr-e-sitam kaun ham ki aap
phir pūchhte haiñ aap se ham kaun ham ki aap
dil husn par nisār to kar duuñ bajā durust
jhelegā is ke ba.ad sitam kaun ham ki aap
duniyā se uTh chukā thā mohabbat kā e'tibār
qaa.em kiye hue hai bharam kaun ham ki aap
donoñ ne ittihād kī koshish zarūr kī
lekin rahā nibāh meñ kam kaun ham ki aap
roz-e-jazā jo dād-talab hoñge dād-ḳhvāh
us din karegā uzr-e-sitam kaun ham ki aap
tūfān-e-ashk-e-'nūh' kā ruknā muhāl hai
anjām de ye kār-e-aham kaun ham ki aap
aamaj-gah-e-tir-e-sitam kaun hum ki aap
phir puchhte hain aap se hum kaun hum ki aap
dil husn par nisar to kar dun baja durust
jhelega is ke baad sitam kaun hum ki aap
duniya se uTh chuka tha mohabbat ka e'tibar
qaem kiye hue hai bharam kaun hum ki aap
donon ne ittihad ki koshish zarur ki
lekin raha nibah mein kam kaun hum ki aap
roz-e-jaza jo dad-talab honge dad-KHwah
us din karega uzr-e-sitam kaun hum ki aap
tufan-e-ashk-e-'nuh' ka rukna muhaal hai
anjam de ye kar-e-aham kaun hum ki aap
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 42)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.