aamal-e-kaj karenge taaqub qubur tak
a.amāl-e-kaj kareñge ta.āqub qubūr tak
pīchhā na us ke ba.ad bhī chhoḌeñge duur tak
kuchh aur jaag lene de ai shām-e-zindagī
sonā hai is ke ba.ad to sub.h-e-nushūr tak
apnā vahī savāl thā us kā vahī javāb
kyā kyā na koh dekhe himāla se tuur tak
guzregā kaise kaise madārij se kyā ḳhabar
lambā safar hai ḳhaak ke zarre kā nuur tak
ġhāfil haiñ is qadar ki guzartā hai ye gumān
ham ko jagā na pā.egī āvāz-e-sūr tak
'bāsir' kahāñ haiñ roz ke vo ham-safar mire
ḳhālī paḌī huī hai saḌak duur duur tak
aamal-e-kaj karenge taaqub qubur tak
pichha na us ke baad bhi chhoDenge dur tak
kuchh aur jag lene de ai sham-e-zindagi
sona hai is ke baad to subh-e-nushur tak
apna wahi sawal tha us ka wahi jawab
kya kya na koh dekhe himala se tur tak
guzrega kaise kaise madarij se kya KHabar
lamba safar hai KHak ke zarre ka nur tak
ghafil hain is qadar ki guzarta hai ye guman
hum ko jaga na paegi aawaz-e-sur tak
'basir' kahan hain roz ke wo ham-safar mere
KHali paDi hui hai saDak dur dur tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.