aamad hai bahaaron ki koi baat kare hai
aamad hai bahāroñ kī koī baat kare hai
mahbūb mirā mujh se mulāqāt kare hai
āshiq ko sarokār nahīñ kār-e-jahāñ se
dil merā tamanna tirī din-rāt kare hai
hai apnā junūñ ishq kī badnāmī kā baa.is
vo ġhair kī mahfil meñ shikāyāt kare hai
haañ tujh ko vo fursat meñ bulā.eñge bahut jald
darbāñ tire āshiq se yahī baat kare hai
jab ḳhatm huī mai to nigāhoñ se pilāyā
saaqī tire rindoñ pe ināyāt kare hai
kis shaan se maqtal ko chalā āshiq-e-sādiq
is shahr meñ 'aḳhtar' kī har ik baat kare hai
aamad hai bahaaron ki koi baat kare hai
mahbub mera mujh se mulaqat kare hai
aashiq ko sarokar nahin kar-e-jahan se
dil mera tamanna teri din-raat kare hai
hai apna junun ishq ki badnami ka bais
wo ghair ki mahfil mein shikayat kare hai
han tujh ko wo fursat mein bulaenge bahut jald
darban tere aashiq se yahi baat kare hai
jab KHatm hui mai to nigahon se pilaya
saqi tere rindon pe inayat kare hai
kis shan se maqtal ko chala aashiq-e-sadiq
is shahr mein 'aKHtar' ki har ek baat kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.