aamir-e-aql se shahzad baghawat kar len
āmir-e-aql se 'shahzād' baġhāvat kar leñ
aao us shaḳhs se iqrār-e-mohabbat kar leñ
kal na-jāne ki kise vaqt kahāñ le jaa.e
aaj pal-bhar hī sahī ḳhvāb haqīqat kar leñ
us ko tohmat se bachānā hai har ik qismat par
hañste rahnā hī chalo aaj se aadat kar leñ
kaun manzil ke liye lutf-e-safar ko kho.e
chalte rahne se hī tajdīd-e-rifāqat kar leñ
ham ne sab diip bujhā Daale haiñ imshab taaki
saath jo chal na sakeñ tark-e-mohabbat kar leñ
aamir-e-aql se 'shahzad' baghawat kar len
aao us shaKHs se iqrar-e-mohabbat kar len
kal na-jaane ki kise waqt kahan le jae
aaj pal-bhar hi sahi KHwab haqiqat kar len
us ko tohmat se bachana hai har ek qismat par
hanste rahna hi chalo aaj se aadat kar len
kaun manzil ke liye lutf-e-safar ko khoe
chalte rahne se hi tajdid-e-rifaqat kar len
hum ne sab dip bujha Dale hain imshab taki
sath jo chal na saken tark-e-mohabbat kar len
- Book : aa.iinaa jhuuTaa Hai (Pg. 51)
- Author : FARHAT SHAHZAD
- Publication : Al-Hamd Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.