aan ki aan mein paspa hue lashkar kaise
aan kī aan meñ paspā hue lashkar kaise
kaam bārūd ke aa.e bhī to kankar kaise
pahle us ne mire ḳhittoñ ko tah-o-bālā kiyā
ab mujhe amn ke bheje haiñ kabūtar kaise
tākte haiñ tirī jānib to savāl uThtā hai
ham tire dil meñ nahīñ aañkh ke andar kaise
raat din bas yahī pursish hai yahī istifsār
kaun kis vāste kab aur kahāñ par kaise
aan ki aan mein paspa hue lashkar kaise
kaam barud ke aae bhi to kankar kaise
pahle us ne mere KHitton ko tah-o-baala kiya
ab mujhe amn ke bheje hain kabutar kaise
takte hain teri jaanib to sawal uThta hai
hum tere dil mein nahin aankh ke andar kaise
raat din bas yahi pursish hai yahi istifsar
kaun kis waste kab aur kahan par kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.