aan se zalim ka imtihan aur main
aañ se zālim kā imtihāñ aur maiñ
ye sitam tere āsmāñ aur maiñ
kabhī kahtā huuñ ab vo aate haiñ
kabhī kahtā huuñ vo kahāñ aur maiñ
be-qarārī dilā rahī hai yaad
haa.e vo terī shoḳhiyāñ aur maiñ
nahīñ suntā koī kisī kī jahāñ
ġham-e-hijrāñ kī dāstāñ aur maiñ
āḳhir aa hī ga.ī fuġhāñ lab par
zabt-e-rāz-e-ġham-e-nihāñ aur maiñ
charḳh bhūlā huā hai kyā gardish
yaar ke ghar meñ mehmāñ aur maiñ
kuchh kahe jaao kuchh sune jaao
tum se do-chār bad-gumāñ aur maiñ
vo galī aur rāt-bhar phirnā
dūr-bāsh-e-nigah yaañ aur maiñ
fikr-e-dushvārī-e-matālib meñ
ek bechāra rāzdāñ aur maiñ
aa.ine varna dekh lījiyegā
har jagah aap kā bayāñ aur maiñ
pūchh 'sālik' na merā ghar mujh se
rāt-din hai dar-e-butāñ aur maiñ
aan se zalim ka imtihan aur main
ye sitam tere aasman aur main
kabhi kahta hun ab wo aate hain
kabhi kahta hun wo kahan aur main
be-qarari dila rahi hai yaad
hae wo teri shoKHiyan aur main
nahin sunta koi kisi ki jahan
gham-e-hijran ki dastan aur main
aaKHir aa hi gai fughan lab par
zabt-e-raaz-e-gham-e-nihan aur main
charKH bhula hua hai kya gardish
yar ke ghar mein mehman aur main
kuchh kahe jao kuchh sune jao
tum se do-chaar bad-guman aur main
wo gali aur raat-bhar phirna
dur-bash-e-nigah yan aur main
fikr-e-dushwari-e-matalib mein
ek bechaara raazdan aur main
aaine warna dekh lijiyega
har jagah aap ka bayan aur main
puchh 'salik' na mera ghar mujh se
raat-din hai dar-e-butan aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.