aana hai yun muhaal to ek shab ba-KHwab aa
aana hai yun muhaal to ek shab ba-KHwab aa
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
aanā hai yuuñ muhāl to ik shab ba-ḳhvāb aa
mujh tak ḳhudā ke vāste zālim shitāb aa
detā huuñ naama maiñ tujhe is shart par abhī
qāsid tū us ke paas se le kar javāb aa
aisā hī azm hai tujhe gar kū-e-yār kā
chaltā huuñ maiñ bhī ai dil-e-pur-iztirāb aa
ye ḳhasta chashm vā hai tire intizār meñ
ai sub.h muñh dikhā kahīñ ai āftāb aa
tā ye shab-e-firāq kī dījūr duur ho
ai rashk-e-māh ghar meñ mire be-naqāb aa
āb-e-ravāñ o sabza o rū-e-nigār hai
saaqī shitāb aise meñ le kar sharāb aa
ro.eñ gale se lag ke baham ḳhuub koī dam
kyā dekhtā hai ai dil-e-be-sabr-o-tāb aa
bahr-e-jahāñ meñ der-shud aamad ravā nahīñ
mānind-e-qatra jā tū ba-rañg-e-hubāb aa
qurbānī aaj dar pe tire karnī hai mujhe
le kar ke teġh to bhī barā.e-savāb aa
shāyad vo tujh ko dekh ke ġham khaa.e 'mus.hafī'
tū us ke sāmne to ba-chashm-e-pur-āb aa
aana hai yun muhaal to ek shab ba-KHwab aa
mujh tak KHuda ke waste zalim shitab aa
deta hun nama main tujhe is shart par abhi
qasid tu us ke pas se le kar jawab aa
aisa hi azm hai tujhe gar ku-e-yar ka
chalta hun main bhi ai dil-e-pur-iztirab aa
ye KHasta chashm wa hai tere intizar mein
ai subh munh dikha kahin ai aaftab aa
ta ye shab-e-firaq ki dijur dur ho
ai rashk-e-mah ghar mein mere be-naqab aa
aab-e-rawan o sabza o ru-e-nigar hai
saqi shitab aise mein le kar sharab aa
roen gale se lag ke baham KHub koi dam
kya dekhta hai ai dil-e-be-sabr-o-tab aa
bahr-e-jahan mein der-shud aamad rawa nahin
manind-e-qatra ja tu ba-rang-e-hubab aa
qurbani aaj dar pe tere karni hai mujhe
le kar ke tegh to bhi barae-sawab aa
shayad wo tujh ko dekh ke gham khae 'mushafi'
tu us ke samne to ba-chashm-e-pur-ab aa
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.