aana na samne kahin us samne ke baad
aanā na sāmne kahīñ us sāmne ke baa'd
tarjīh tum mujhī ko na do aa.ine ke baa'd
āñkhoñ ko apnī band na kar luuñ to kyā karūñ
ab dekhnā hī kyā hai tujhe dekhne ke baa'd
dil toḌnā to sahl hai lekin ye soch lo
joḌā na jā sakegā ye dil toḌne ke baa'd
ham jaisī dād-e-husn na degā ye aa.ina
āḳhir hamīñ ko dekhoge tum aa.ine ke baa'd
mahsūs ye huā ki jo māñgā thā mil gayā
tujh par nazar paḌī jo du'ā māñgne ke baa'd
dil TukḌe TukḌe ho ke bhī kahlā rahā hai dil
ā.īna aa.ina na rahā TūTne ke baa'd
bojhal tamām jism hai shal dast-o-pā 'vaqār'
manzil milī to kyā milī thak hārne ke baa'd
aana na samne kahin us samne ke ba'd
tarjih tum mujhi ko na do aaine ke ba'd
aankhon ko apni band na kar lun to kya karun
ab dekhna hi kya hai tujhe dekhne ke ba'd
dil toDna to sahl hai lekin ye soch lo
joDa na ja sakega ye dil toDne ke ba'd
hum jaisi dad-e-husn na dega ye aaina
aaKHir hamin ko dekhoge tum aaine ke ba'd
mahsus ye hua ki jo manga tha mil gaya
tujh par nazar paDi jo du'a mangne ke ba'd
dil TukDe TukDe ho ke bhi kahla raha hai dil
aaina aaina na raha TuTne ke ba'd
bojhal tamam jism hai shal dast-o-pa 'waqar'
manzil mili to kya mili thak haarne ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.