aanch to diye ki thi sardiyon ki shamon mein
aañch to diye kī thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
varna dhuup kab utrī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
haath se kabūtar to phir uḌā diyā maiñ ne
rah ga.ī hai tanhā.ī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
hijr aur hijrat ko oḌh kar bhī dekhā hai
saañs tak na chaltī thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
sard garm lamhoñ kī aag tāpte the ham
vo jo ik rasoī thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
aaj der tak sulgī terī yaad kī ḳhushbū
dil kī baat dil se thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
aanch to diye ki thi sardiyon ki shamon mein
warna dhup kab utri sardiyon ki shamon mein
hath se kabutar to phir uDa diya main ne
rah gai hai tanhai sardiyon ki shamon mein
hijr aur hijrat ko oDh kar bhi dekha hai
sans tak na chalti thi sardiyon ki shamon mein
sard garm lamhon ki aag tapte the hum
wo jo ek rasoi thi sardiyon ki shamon mein
aaj der tak sulgi teri yaad ki KHushbu
dil ki baat dil se thi sardiyon ki shamon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.