andhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre
andhe moḌ ko jo bhī kaaTe āhista guzre
cycleñ Takrā jaatī haiñ aksar motor se
añdhiyāre meñ hañste rote kaale giit sune
jo sūraj ke aage aa.e vo āḳhir chamke
din ke varaq par insāñ kyā the āḌe-tirchhe lafz
raat huī to dekh rahā huuñ kāġhaz par nuqte
maiñ bikhre lamhe kā motī sadiyoñ se marbūt
mere jism se ho kar guzre barsoñ ke dhāge
'mājid' kī do ġhazleñ bhī bhārī haiñ do sau par
saarī ġhazloñ ko ab koī chhāpe nā chhāpe
andhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre
cyclen Takra jati hain aksar motor se
andhiyare mein hanste rote kale git sune
jo suraj ke aage aae wo aaKHir chamke
din ke waraq par insan kya the aaDe-tirchhe lafz
raat hui to dekh raha hun kaghaz par nuqte
main bikhre lamhe ka moti sadiyon se marbut
mere jism se ho kar guzre barson ke dhage
'majid' ki do ghazlen bhi bhaari hain do sau par
sari ghazlon ko ab koi chhape na chhape
- Book : shab khuun (45) (rekhta website) (Pg. 57)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.