aandhi chali thi shama bujhane tamam raat
āñdhī chalī thī sham.a bujhāne tamām raat
jalte rahe the ḳhvāb suhāne tamām raat
yuuñ mere dard-e-dil kī davā ban sake na tum
riste rahe haiñ zaḳhm purāne tamām raat
toḌā thā jis ke dil ko sitāroñ ne be-sabab
aa.e the jugnū us ko manāne tamām raat
jin ke liye thī dil kī vo mahfil sajī huī
aa.e nahīñ vo rasm nibhāne tamām raat
aa.ī nahīñ na aañkh lagī sub.h ho ga.ī
kartī rahī hai niiñd bahāne tamām raat
aandhi chali thi shama bujhane tamam raat
jalte rahe the KHwab suhane tamam raat
yun mere dard-e-dil ki dawa ban sake na tum
riste rahe hain zaKHm purane tamam raat
toDa tha jis ke dil ko sitaron ne be-sabab
aae the jugnu us ko manane tamam raat
jin ke liye thi dil ki wo mahfil saji hui
aae nahin wo rasm nibhane tamam raat
aai nahin na aankh lagi subh ho gai
karti rahi hai nind bahane tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.