aandhi ki wo zad par the
āñdhī kī vo zad par the
lau ke apne tevar the
malba malba dekh to luuñ
aur yahāñ kis ke ghar the
merā jism thā shīshe kā
us ke haath meñ patthar the
chāroñ or se hamla thā
ham lekin muTThī bhar the
shāyad aadhā paanī thā
chhalke chhalke gāgar the
pagḌī un ke sar par thī
jin ke hāthoñ meñ sar the
bosīda sī kashtī thī
tūfānoñ ke manzar the
aap abhī kī baat karo
abtar the jab abtar the
aandhi ki wo zad par the
lau ke apne tewar the
malba malba dekh to lun
aur yahan kis ke ghar the
mera jism tha shishe ka
us ke hath mein patthar the
chaaron or se hamla tha
hum lekin muTThi bhar the
shayad aadha pani tha
chhalke chhalke gagar the
pagDi un ke sar par thi
jin ke hathon mein sar the
bosida si kashti thi
tufanon ke manzar the
aap abhi ki baat karo
abtar the jab abtar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.