aandhiyon ko pata chala kaise
āñdhiy.oñ ko pata chalā kaise
ghar kā chhappar tire uḌā kaise
kis ne in bijliyoñ ko dāvat dī
āshiyāñ terā hī jalā kaise
jab havā ḳhud tire muḳhālif thī
phir diyā terā bujh gayā kaise
bheḌiyā memne ko le aa chukā
sag ye sab dekhtā rahā kaise
ruk gayā thā nizām-e-hastī jab
hādisa phir bhalā huā kaise
kis kā ilzām tere sar hai 'nasīm'
charchā terā hai jā-ba-jā kaise
aandhiyon ko pata chala kaise
ghar ka chhappar tere uDa kaise
kis ne in bijliyon ko dawat di
aashiyan tera hi jala kaise
jab hawa KHud tere muKHalif thi
phir diya tera bujh gaya kaise
bheDiya memne ko le aa chuka
sag ye sab dekhta raha kaise
ruk gaya tha nizam-e-hasti jab
hadisa phir bhala hua kaise
kis ka ilzam tere sar hai 'nasim'
charcha tera hai ja-ba-ja kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.