aandhiyon se hain rabte uske
āñdhiyoñ se haiñ rābte us ke
jal rahe haiñ sabhī diye us ke
ḳhushbueñ kar rahī haiñ us kā tavāf
baaġh sab haiñ hare-bhare us ke
vo sarāpā hai āftāb-e-jamāl
kaun Thahregā sāmne us ke
mujh se pahchānte haiñ log us ko
aks mere haiñ aa.ine us ke
maiñ kitāb us kī zindagī kī huuñ
mujh meñ raushan haiñ hāshiye us ke
shab ke zindāñ meñ qaid hai vo magar
haiñ ujāloñ se rābte us ke
us ke har zāviye se vāqif huuñ
maiñ ne khīñche haiñ zā.iche us ke
aaj tak naam de sakā na koī
haiñ ta.alluq ajab mire us ke
aandhiyon se hain rabte us ke
jal rahe hain sabhi diye us ke
KHushbuen kar rahi hain us ka tawaf
bagh sab hain hare-bhare us ke
wo sarapa hai aaftab-e-jamal
kaun Thahrega samne us ke
mujh se pahchante hain log us ko
aks mere hain aaine us ke
main kitab us ki zindagi ki hun
mujh mein raushan hain hashiye us ke
shab ke zindan mein qaid hai wo magar
hain ujalon se rabte us ke
us ke har zawiye se waqif hun
main ne khinche hain zaiche us ke
aaj tak nam de saka na koi
hain talluq ajab mere us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.