aane wale dinon ko bhi hum ji chuke ab yahan koi mausam anokha nahin
aane wale dinon ko bhi hum ji chuke ab yahan koi mausam anokha nahin
Nashtar Khaanqahi
MORE BYNashtar Khaanqahi
aane vaale dinoñ ko bhī ham jī chuke ab yahāñ koī mausam anokhā nahīñ
aao ab apne bistar lapeTeñ chalo ek aise nagar meñ jo dekhā nahīñ
ishtihāroñ ke be-barg sahrā meñ ab gum-shuda lazzateñ DhūñDhtī hai zabāñ
ai zamīñ tere dāman meñ vo phal bhī hai zā.iqa jis kā duniyā ne chakkhā nahīñ
pattiyāñ jhaḌ ga.iiñ phuul murjhā ga.e kitnā sunsān hai peḌ ehsās kā
us kī shāḳhoñ pe jis kā baserā thā kal vo parinda bhī to aaj lauTā nahīñ
jis ko dushman kahūñ koī aisā nahīñ ab to jo bhī hai merā bahī-ḳhvāh hai
ye jo har saañs piine pe majbūr huuñ maiñ ne ye zahr ḳhud to ḳharīdā nahīñ
apne purkhoñ kā vāris huuñ phirtā huuñ maiñ dar-ba-dar apnī jholī meñ Daale hue
saare sikke jo Taksāl bāhar hue saare alfāz vo jin ke mā'nā nahīñ
aane wale dinon ko bhi hum ji chuke ab yahan koi mausam anokha nahin
aao ab apne bistar lapeTen chalo ek aise nagar mein jo dekha nahin
ishtihaaron ke be-barg sahra mein ab gum-shuda lazzaten DhunDhti hai zaban
ai zamin tere daman mein wo phal bhi hai zaiqa jis ka duniya ne chakkha nahin
pattiyan jhaD gain phul murjha gae kitna sunsan hai peD ehsas ka
us ki shaKHon pe jis ka basera tha kal wo parinda bhi to aaj lauTa nahin
jis ko dushman kahun koi aisa nahin ab to jo bhi hai mera bahi-KHwah hai
ye jo har sans pine pe majbur hun main ne ye zahr KHud to KHarida nahin
apne purkhon ka waris hun phirta hun main dar-ba-dar apni jholi mein Dale hue
sare sikke jo Taksal bahar hue sare alfaz wo jin ke ma'na nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.