aane wale lamhon ki raushni ko likhna hai
aane vaale lamhoñ kī raushnī ko likhnā hai
ek na.ī ibārat meñ zindagī ko likhnā hai
bolne lageñ apne ghar ke sab dar-o-dīvār
jo sunā.ī de aisī ḳhāmushī ko likhnā hai
ek hasīn bachche kī kyā hasīn ḳhvāhish hai
chāñd kī taraf se ḳhat chāñdnī ko likhnā hai
ek do kī koshish se vaqt kaise badlegā
apne vaqt kī qismat ham sabhī ko likhnā hai
apnī shaḳhsiyat āḳhir kyoñ asar nahīñ rakhtī
aaj apne andar kī is kamī ko likhnā hai
lafz lafz ho jis kā phuul kī tarah 'sājid'
aisī ḳhushbuoñ vaalī shā.irī ko likhnā hai
aane wale lamhon ki raushni ko likhna hai
ek nai ibarat mein zindagi ko likhna hai
bolne lagen apne ghar ke sab dar-o-diwar
jo sunai de aisi KHamushi ko likhna hai
ek hasin bachche ki kya hasin KHwahish hai
chand ki taraf se KHat chandni ko likhna hai
ek do ki koshish se waqt kaise badlega
apne waqt ki qismat hum sabhi ko likhna hai
apni shaKHsiyat aaKHir kyon asar nahin rakhti
aaj apne andar ki is kami ko likhna hai
lafz lafz ho jis ka phul ki tarah 'sajid'
aisi KHushbuon wali shairi ko likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.