aane wale mausamon ko sochti rahti hun main
aane vaale mausamoñ ko sochtī rahtī huuñ maiñ
log kahte haiñ ki sapne dekhtī rahtī huuñ maiñ
fikr kī dahlīz par nanhe khilaune kī tarah
joḌtā rahtā hai vo aur TūTtī rahtī huuñ maiñ
ye mohabbat hī to hai us kī jo barsoñ ba.ad bhī
vo manātā hai mujhe aur rūThtī rahtī huuñ maiñ
vaqt jaise vo musavvir aur maiñ us kā qalam
zindagī ke canvas par dauḌtī rahtī huuñ maiñ
aane wale mausamon ko sochti rahti hun main
log kahte hain ki sapne dekhti rahti hun main
fikr ki dahliz par nanhe khilaune ki tarah
joDta rahta hai wo aur TuTti rahti hun main
ye mohabbat hi to hai us ki jo barson baad bhi
wo manata hai mujhe aur ruThti rahti hun main
waqt jaise wo musawwir aur main us ka qalam
zindagi ke canwas par dauDti rahti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.