aane wale sal ki sari sundar shamen tere nam
aane wale sal ki sari sundar shamen tere nam
Rashida Maheen Malik
MORE BYRashida Maheen Malik
aane vaale saal kī saarī sundar shāmeñ tere naam
bantī sañvartī aur bigaḌtī kachchī nīñdeñ tere naam
gajroñ jaisī hosh uḌātī ḳhushbū ke ehsās meñ gum
ThanDī mīThī mast nashīlī resham bāñheñ tere naam
ujle ujle rang rasīle raushan sabz sunahre ḳhvāb
aur in ḳhvāboñ se vābasta vasl kī bāteñ tere naam
vajd meñ aa.ī qaidī lamhoñ kī bīnā.ī ke sadqe
jīvan sang bikharne vaalī bojhal sāñseñ tere naam
aane wale sal ki sari sundar shamen tere nam
banti sanwarti aur bigaDti kachchi ninden tere nam
gajron jaisi hosh uDati KHushbu ke ehsas mein gum
ThanDi miThi mast nashili resham banhen tere nam
ujle ujle rang rasile raushan sabz sunahre KHwab
aur in KHwabon se wabasta wasl ki baaten tere nam
wajd mein aai qaidi lamhon ki binai ke sadqe
jiwan sang bikharne wali bojhal sansen tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.