aane wale sher pe rae bari bari baiThegi
aane vaale sher pe raa.e baarī baarī baiThegī
ab ki jo bhī nazm kahūñgā zehn pe saarī baiThegī
us ke liye poshāk banā.ūñgā maiñ apne hāthoñ se
rañg sapedī beach meñ hogā surḳh kanārī baiThegī
kam-go haiñ aur apnī aadat apnī fikr pe bhārī hai
varna jab bhī baat kareñge dhaak hamārī baiThegī
achchhe yāroñ kī sohbat meñ rahnā achchhā lagtā hai
log bure hoñge jab saare shar bāzārī baiThegī
dhīre chalnā thāme rahnā fikr-e-subuk-raftārī ko
raste meñ ik moḌ aa.egā aur savārī baiThegī
dil kī zamīñ par ham ne ik konā bhī ḳhālī chhoḌā hai
shaam ko vāpas aa kar jis meñ yaad tumhārī baiThegī
sher kī duniyā se maiñ bāhar niklūñ bhī to kyuuñ niklūñ
nashsha jab utregā merā merī ḳhumārī baiThegī
raat ko jo bhī ḳhvāb meñ dekhā sub.h vahī ta.abīr kiyā
agle roz bhī jāgnā hogā niiñd bichārī baiThegī
ziist hamārī thak jā.egī hijr ke lambe raste par
aur zarā sustāne ko bhī ye dukhiyārī baiThegī
mere bachāo kī to mere yaar hī kuchh tadbīr kareñ
aañkh se zarb lagī hai dil par zarb to kaarī baiThegī
aane wale sher pe rae bari bari baiThegi
ab ki jo bhi nazm kahunga zehn pe sari baiThegi
us ke liye poshak banaunga main apne hathon se
rang sapedi beach mein hoga surKH kanari baiThegi
kam-go hain aur apni aadat apni fikr pe bhaari hai
warna jab bhi baat karenge dhak hamari baiThegi
achchhe yaron ki sohbat mein rahna achchha lagta hai
log bure honge jab sare shar bazari baiThegi
dhire chalna thame rahna fikr-e-subuk-raftari ko
raste mein ek moD aaega aur sawari baiThegi
dil ki zamin par hum ne ek kona bhi KHali chhoDa hai
sham ko wapas aa kar jis mein yaad tumhaari baiThegi
sher ki duniya se main bahar niklun bhi to kyun niklun
nashsha jab utrega mera meri KHumari baiThegi
raat ko jo bhi KHwab mein dekha subh wahi tabir kiya
agle roz bhi jagna hoga nind bichaari baiThegi
zist hamari thak jaegi hijr ke lambe raste par
aur zara sustane ko bhi ye dukhiyari baiThegi
mere bachao ki to mere yar hi kuchh tadbir karen
aankh se zarb lagi hai dil par zarb to kari baiThegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.