aangan mein mere dekhiye kab panw dhare wo
āñgan meñ mire dekhiye kab paañv dhare vo
jaatā huuñ qarīb us ke to hotā hai pare vo
bātoñ meñ lubhā kar kahīñ gum ho gayā ik din
shāyad mujhe yaad aatā hai ik shaḳhs are vo
is chāñd se chehre kī chamak aur kahīñ hai
lagtā hai sitāroñ se sadā maañg bhare vo
jaañ dushman-e-jānī se bachānī nahīñ mumkin
haañ jaan hī denī hai kisī ko to mare vo
be-ḳhauf hī jiite raho marnā hai bahar-hāl
buzdil hai agar koī to duniyā se Dare vo
is daur meñ ulTā huā meyār-e-sharāfat
khoToñ meñ gine jaate haiñ ham aur khare vo
aangan mein mere dekhiye kab panw dhare wo
jata hun qarib us ke to hota hai pare wo
baaton mein lubha kar kahin gum ho gaya ek din
shayad mujhe yaad aata hai ek shaKHs are wo
is chand se chehre ki chamak aur kahin hai
lagta hai sitaron se sada mang bhare wo
jaan dushman-e-jaani se bachani nahin mumkin
han jaan hi deni hai kisi ko to mare wo
be-KHauf hi jite raho marna hai bahar-haal
buzdil hai agar koi to duniya se Dare wo
is daur mein ulTa hua meyar-e-sharafat
khoTon mein gine jate hain hum aur khare wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.