aankh chura kar nikal gae hushyari ki
aañkh churā kar nikal ga.e hushyārī kī
samajh ga.e tum bhī mauqe kī bārīkī
dariyā paar safar kī jab tayyārī kī
mausam ne har baar baḌī ġhaddārī kī
ab lagtā hai muḌ ke dekh to saktā thā
āḳhir had bhī hotī hai ḳhuddārī kī
baar baar ākāsh ne kī ātish-bāzī
raat manāyā ham ne jashn-e-tārīkī
shāyad sirf ujālā kar ke bujh jaa.e
shāyad niyyat badal jaa.e chiñgārī kī
dhaḌkan ko laġhzish kī chhūT nahīñ bilkul
dil ne itnī saḳht hidāyat jaarī kī
aankh chura kar nikal gae hushyari ki
samajh gae tum bhi mauqe ki bariki
dariya par safar ki jab tayyari ki
mausam ne har bar baDi ghaddari ki
ab lagta hai muD ke dekh to sakta tha
aaKHir had bhi hoti hai KHuddari ki
bar bar aakash ne ki aatish-bazi
raat manaya hum ne jashn-e-tariki
shayad sirf ujala kar ke bujh jae
shayad niyyat badal jae chingari ki
dhaDkan ko laghzish ki chhuT nahin bilkul
dil ne itni saKHt hidayat jari ki
- Book : Namak (Pg. 48)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.