aankh hai apni roi roi
aañkh hai apnī roī roī
qismat hai ki soī soī
haal hamārā sab dekhe haiñ
samjhe lekin koī koī
kis kī ye tasvīr hai jaane
ashkoñ se hai dhoī dhoī
pahchāneñ dīvāna apnā
kis kī āñkheñ khoī khoī
sab ko sab hī dekheñ 'sā'dī'
ḳhud ko dekhe koī koī
aankh hai apni roi roi
qismat hai ki soi soi
haal hamara sab dekhe hain
samjhe lekin koi koi
kis ki ye taswir hai jaane
ashkon se hai dhoi dhoi
pahchanen diwana apna
kis ki aankhen khoi khoi
sab ko sab hi dekhen 'sa'di'
KHud ko dekhe koi koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.