aankh hairan hai ye sad-rangi-e-jalwa kya hai
aañkh hairāñ hai ye sad-rañgī-e-jalva kyā hai
shahr kahtā hai abhī aap ne dekhā kyā hai
kaun aayā hai pai-e-chāra-garī dekh to le
āḳhir ai dard-e-jigar terā irāda kyā hai
chhoḌ gulshan ko kisī rashk-e-chaman-zār ko dekh
zauq-e-nazzāra yahāñ bazm meñ rakkhā kyā hai
uf vo a.azā-shikanī niiñd meñ Duubī āñkheñ
zikr-e-mai-ḳhāna hai kyā tishna-e-sahbā kyā hai
ye bhī tadbīr hai tajdīd-e-ta.alluq kī 'shakeb'
pūchhiye jā ke vo apne ko samajhtā kyā hai
aankh hairan hai ye sad-rangi-e-jalwa kya hai
shahr kahta hai abhi aap ne dekha kya hai
kaun aaya hai pai-e-chaara-gari dekh to le
aaKHir ai dard-e-jigar tera irada kya hai
chhoD gulshan ko kisi rashk-e-chaman-zar ko dekh
zauq-e-nazzara yahan bazm mein rakkha kya hai
uf wo aaza-shikani nind mein Dubi aankhen
zikr-e-mai-KHana hai kya tishna-e-sahba kya hai
ye bhi tadbir hai tajdid-e-talluq ki 'shakeb'
puchhiye ja ke wo apne ko samajhta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.