aankh imkan se bhari hui thi
aañkh imkān se bharī huī thī
aur maiñ ḳhvāb meñ Darī huī thī
zaḳhm gintī thiiñ uñgliyāñ apne
koshish-e-ā.īna-gari huī thī
hijr kyā ḳhuub kaifiyat laayā
in dinoñ kitnī shā.erī huī thī
kyā isī meñ hī ishq pinhāñ thā
ik nigah vo bhī sarsarī huī thī
kaisā mahsūs ho rahā thā tumheñ
jab madīne meñ hāzirī huī thī
us ne āñkhoñ meñ baat kī mujh se
ḳhāmushī hoñT par dharī huī thī
sabz titlī thī 'rāshida' māhīn
nargisī phuul par marī huī thī
aankh imkan se bhari hui thi
aur main KHwab mein Dari hui thi
zaKHm ginti thin ungliyan apne
koshish-e-aina-gari hui thi
hijr kya KHub kaifiyat laya
in dinon kitni shaeri hui thi
kya isi mein hi ishq pinhan tha
ek nigah wo bhi sarsari hui thi
kaisa mahsus ho raha tha tumhein
jab madine mein haziri hui thi
us ne aankhon mein baat ki mujh se
KHamushi honT par dhari hui thi
sabz titli thi 'rashida' mahin
nargisi phul par mari hui thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.