aankh jhapki jo samundar ki nigahbani mein
aañkh jhapkī jo samundar kī nigahbānī meñ
ik zamīñ jhuum ke ubhrī thī khule paanī meñ
jism chhan-chhan ke numūdār hue jaate haiñ
koī parda hai mirī aañkh kī uryānī meñ
dhuup guzrī to mire sahn se haT kar guzrī
raat Thahrī to kisī kunj-e-bayābānī meñ
abr barsā to ka.ī roz barābar barsā
dasht sairāb huā ālam-e-hairānī meñ
aankh jhapki jo samundar ki nigahbani mein
ek zamin jhum ke ubhri thi khule pani mein
jism chhan-chhan ke numudar hue jate hain
koi parda hai meri aankh ki uryani mein
dhup guzri to mere sahn se haT kar guzri
raat Thahri to kisi kunj-e-bayabani mein
abr barsa to kai roz barabar barsa
dasht sairab hua aalam-e-hairani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.