aankh jo bhi teri aankhon se mila baiThta hai
aañkh jo bhī tirī āñkhoñ se milā baiThtā hai
qais ke halqa-e-ahbāb meñ jā baiThtā hai
mustaqil kaise rahe jism ke ḳhitte kā nizām
hukmrāñ roz mire dil meñ nayā baiThtā hai
ik taraf dil hai tirā ek taraf merā makāñ
dekhnā ye hai ki sailāb meñ kyā baiThtā hai
dār-e-duniyā mirī peshānī ko chaukhaT na dikhā
ye vo masnad hai jahāñ sirf ḳhudā baiThtā hai
dhuup ke vaqt shajar god meñ letā hai mujhe
raat ho jaa.e to pahre pe diyā baiThtā hai
dil mohabbat meñ izāfe kī talab karte hue
dūsre ishq meñ pahlā bhī gañvā baiThtā hai
ye bhī Thukrāyā huā lagtā hai tere dar kā
maiñ jahāñ baiThtā huuñ ranj bhī aa baiThtā hai
aankh jo bhi teri aankhon se mila baiThta hai
qais ke halqa-e-ahbab mein ja baiThta hai
mustaqil kaise rahe jism ke KHitte ka nizam
hukmran roz mere dil mein naya baiThta hai
ek taraf dil hai tera ek taraf mera makan
dekhna ye hai ki sailab mein kya baiThta hai
dar-e-duniya meri peshani ko chaukhaT na dikha
ye wo masnad hai jahan sirf KHuda baiThta hai
dhup ke waqt shajar god mein leta hai mujhe
raat ho jae to pahre pe diya baiThta hai
dil mohabbat mein izafe ki talab karte hue
dusre ishq mein pahla bhi ganwa baiThta hai
ye bhi Thukraya hua lagta hai tere dar ka
main jahan baiThta hun ranj bhi aa baiThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.