aankh ka ishaara hai
aañkh kā ishāra hai
ham pe āshkārā hai
tīr-e-nīm-kash hai kab
ye nazar to aarā hai
hai jo ishq kā chakkar
sar-ba-sar ḳhasāra hai
dard kī hukūmat hai
aur dukh sahārā hai
ai mirī matā-e-jāñ
ham meñ kyā hamārā hai
dil ko ġham haiñ duniyā ke
aur dil tumhārā hai
hijr do ghaḌī kā hī
aag hai sharāra hai
mujh meñ ek dariyā hai
aur ik kināra hai
aankh ka ishaara hai
hum pe aashkara hai
tir-e-nim-kash hai kab
ye nazar to aara hai
hai jo ishq ka chakkar
sar-ba-sar KHasara hai
dard ki hukumat hai
aur dukh sahaara hai
ai meri mata-e-jaan
hum mein kya hamara hai
dil ko gham hain duniya ke
aur dil tumhaara hai
hijr do ghaDi ka hi
aag hai sharara hai
mujh mein ek dariya hai
aur ek kinara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.