aankh ka nind se rishta nahin hone deta
aañkh kā niiñd se rishta nahīñ hone detā
maiñ tire ḳhvāb ko rusvā nahīñ hone detā
jī to kartā hai bahut phuuT ke ro lene kā
maiñ magar apnā tamāsha nahīñ hone detā
ḳhud to ḳhātir meñ nahīñ laatā hai mujh ko lekin
vo mujhe aur kisī kā nahīñ hone detā
vo sitam-pesha nahīñ hai magar yuuñ kah liije
mere ash.ār ko jhūTā nahīñ hone detā
hoñT se hoñT bhiḌā detā hai anjāne hī
hādisa rakhtā hai bosa nahīñ hone detā
aankh ka nind se rishta nahin hone deta
main tere KHwab ko ruswa nahin hone deta
ji to karta hai bahut phuT ke ro lene ka
main magar apna tamasha nahin hone deta
KHud to KHatir mein nahin lata hai mujh ko lekin
wo mujhe aur kisi ka nahin hone deta
wo sitam-pesha nahin hai magar yun kah lije
mere ashaar ko jhuTa nahin hone deta
honT se honT bhiDa deta hai anjaane hi
hadisa rakhta hai bosa nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.